Kahan sey tum challi
Aur kahan tum pounchi
rasta tha lumba
Aur ghum se bhra
Jub sham dhalli
Aur rat bhalli
Naa aunkh lagi
Naa yad bhooli
Wapis jana tha
Maghar sumandar tha lumba
Aur ghera undhera
Siruf yad mein roshni thi
Jismein sahan tha
Sehen mein beitheh they
Aur Aam khateh they
Baba aateh they
tu ith kur khareh ho jateh they
Aun se darthe they
Magar aun ka adab kurthey they
Aab intizar mein bethey hein
aab juk key bethey hein
Naa sehen hey
Naa aam hein
Magar hum aab free hein
Naa bab hey
Naa amaa hey
Naa dur hey
Naa ghur hey
Jhub sham dhali
Jhub rat bhalli
Na ankh lagi
Na yad bhulli
Kahan sey tum challi
Aur kahan poonchi
Lumba tha safar
Gum se bhra
Jhub sham dhalli
Jhub rat bhalli
Naa ankh lagi
Na yad bhulli
No comments:
Post a Comment